Tuesday, 24 January 2012

Main kisi or ki hun itna bata kar royi



Main kisi or ki hun itna bata kar royi,
wo mujhe mehandi lagay haath dikha kar royi,

mujhe muhabbat ka anjaam nahi tha maloom,
ye kaha or mujhe seene se laga kar royi,

jo mujhe qasam deti thi kabhi na rone ki,
wo zamaane ko apna haal suna kar royi,

aansu ban k nikal na jaon kahin is dar se,
apne aansuon ko wo aankhon main chupa kar royi,

Agle janam main hm zaroor ik ho jayen gay,
Apne dil ko baar baar samjha kar royi,

Bas wahi aakhri lamha jo mila tha hamain,
Usi lamhay main wo sadiyon ko sama kar royi.....

No comments:

Post a Comment