Wednesday, 18 January 2012

Kehne ko muhabbat hai leken



Kehne ko muhabbat hai leken

Ab aisi muhabbat kya karni jo neend chura le aankhon se,

Jo khwaab Dikha kar phoolon k Taabeer main kaante de jayen,

Jo Gham ki kaali raaton se har aas ka jugnoo le jaye,

Jo khwaab sajaati aankhon ko aansoo hi aansoo de jaye,

Jo mushkil karde jeene ko, jo marne ko aasan karay,

Wo Dil jo pyaar ka mandar ho wo yaadon ko mehmaan karay,

AB AISI MUHABBAT KYA KARNI,

Jo umar ki naqdi le jaye or phr bhi jholi khaali ho,

Wo soorat dil ka rog bane jo soorat dekhi baali ho,

Jo Qais bana de insaan ko, jo Raanjha or Farhaad kare,

Ab aisi muhabbat kya karni jo khushiyon ko barbaad kare,

Dekho to muhabbat k baray har shakhs yahi kuch kehta hai,

Socho to muhabbat k andar ik dard hamesha rehta hai,

Phir bhi jo cheez muhabbat hai kab in baaton se darti hai,

Kab in k baandhe rukhti hai,

Jis dil main is ko basna ho ye chup k se bas jaati hai,

IK BAAR MUHABBAT HO JAYE,

Phr chahay jeena mushkil ho ya jholi khaali reh jaye,

Ye aankhe aansoo ban jaye, ya Raanjha or farhaad kare,

Phir is ki hukumat hoti hai abaad karay barbaad kare,

Ik baar muhabbat ho jaye

kab in baaton se darti hai kab in k baandhe rukti hai,

Jo cheez Muhabbat hai AAMIR jab honi Ho ho jaati hai.....

No comments:

Post a Comment