Tuesday, 24 January 2012
Main kisi or ki hun itna bata kar royi
Main kisi or ki hun itna bata kar royi,
wo mujhe mehandi lagay haath dikha kar royi,
mujhe muhabbat ka anjaam nahi tha maloom,
ye kaha or mujhe seene se laga kar royi,
jo mujhe qasam deti thi kabhi na rone ki,
wo zamaane ko apna haal suna kar royi,
aansu ban k nikal na jaon kahin is dar se,
apne aansuon ko wo aankhon main chupa kar royi,
Agle janam main hm zaroor ik ho jayen gay,
Apne dil ko baar baar samjha kar royi,
Bas wahi aakhri lamha jo mila tha hamain,
Usi lamhay main wo sadiyon ko sama kar royi.....
Woh mujhy apna kehta tha
Woh mujhy apna kehta tha
Hamary milny ko sapna kehta tha
Jo milny me zara der ho jati
Chand pal k intazar ko tarapna keht tha
Woh kehta tha k tum meri jan ho
Mera gumnam hona ho tum meri pehchan ho
Kehta tha k tum hi ho mera sb kuch
meri zindgi tamaam ho
Woh jo kehta tha k bin tery zndgi adhori hy
Tu saath hai tabhi ye sans puri hai
Woh kehta k tery siwa kuch dikhai nahi deta
Siwaye teri awaz k kuch sunai nahi deta
Teri khushbu jo sath rehti hai mery
To ik lamha bhi mujhy tanhai nahi deta
Or phir aik din achanak mila mujhy woh
Or mujh sy pucha k. . . .TUM KON HO?
hatheli samne rakhna k sub aanson gire us main
hatheli samne rakhna k sub aanson gire us main..
Jo ruk jaeyga honton par samjh jana k wo hon main..
Kabi jo chand ko dekho to tum yun muskra dena..
Jo chal jaey hawa thandi to aankhen band kar lena..
Jo jhonka taiz ho sub se samjh jana k wo hon main..
Jo ziada yaad aaon main to tum g bhar k ro lena..
Agar hichki koi aaey samjh jana k wo hon main..
Agar bholna chaho to shayed bhol jao tum..
Magar jab saans lena tum samjh jana k wo hon main.
Wednesday, 18 January 2012
Sun liya hum ne faisla tera
Sun liya hum ne faisla tera
Aur sun ker udaas ho baithey
Zehan chup chaap ankh khaali
Jaisey hum kianaat kho baithey
Teri Hansti Hui Zindagi Ki Rahon Main
Teri Hansti Hui Zindagi Ki Rahon Main
Hazaron Phol Lutati Hui Bahar Aaye
Tum Chalo To Sitare Nisar Hoon Tum Par
Tum Hanso To Pholo Ko Tum Par Pyar Aaye
Teri Ghaflaton Ko Khabar Kahan, Mere Haal e Dil Pe Nazar Kahan
Teri Ghaflaton Ko Khabar Kahan, Mere Haal e Dil Pe Nazar Kahan
Tu Jafa Ki Hadd Mein Naa Aa Saka, Main Wafa Ki Hadd Se Guzar Gaya.
Tu Bhi Kissi Kay Baab Mein Ahad-shikan Hai Ghaaliban
Tu Bhi Kissi Kay Baab Mein Ahad-shikan Hai Ghaaliban
Maine Bhi Eik Shakhs Ka Qarz Adaa Nahi Kiya .... !!!
ajab “TAMASHA” Hai “MATTI” se bane “LOGON” Ka
ajab “TAMASHA” Hai “MATTI” se bane “LOGON” Ka
“BEWAFAI” karo to “ROTEY” hain agar “WAFA” karo to “RULATEY” Hain…!!
Mujhay apny dil k zouq
Mujhay apny dil k zouq-o-kamal ki intaha to nahi maloom
Lekn jis Dil me tum sama gaye ho wo aam sa nahi
wo kehti hai
wo kehti hai,,
batao be-sabab q rooth jatay ho,
main kehta hun,
zara mujh ko manao acha lagta hai,
wo kehti hai,
mera dil tm se aakhir q nahi bharta,
main kehta hun,
muhabbat ki koi hadd hi nahi hoti,
wo kehti hai,
batao main tmhay q bhaa gayi itna,
main kehta hun,
meri haadsay to ho hi jatay hai,
wo kehti hai,
achanak main tmhay yun hi rula dun gi,
main kehta hun,
mujhe dar hai k tm bhi bheeg jao gi,
Wo ik masoom si chahat
Wo ik masoom si chahat
Wo ik benaam si ulfat
Wo meri zaat ka hissa
Wo meri zeest ka qissa
Mjhy mehsoos hota hai
Wo mere pas hai ub bhe
Wo jab jab yad ata hay
Nigahoun me samata hai
Zuban khamosh hoti hai
Magar ye ankh roti hai
Mein khud se puch lete hun
Usay kya pyar hai mjh se
Jawaban soch leti hun
Usay bhe pyar hai “SHAYAD”
Isi “SHAYAD” se wabsta hai
Ub to her khushi meri
Yahi ek lafz “SHAYAD”
Ban gya hai zindagi meri.
main aisi mohabbat karta hoon
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho
tum jahan peh bayth k jati ho
main waheen pe betha rehta hoon
us cheez ko choota rehta hoon
main aisi mohabbt karta hoon
tum jis se huns k milti ho
main us ko dost banata hoon
tum jis rustay par chalti ho
main us say aata jata hoon
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho
tum jin ko daykhti rehti ho
wo khuwab....sarhanay rakhta hoon
tum say milnay julnay k
kitnay hi bahanay rakhta hoon
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho
tum jahan bhi bayth k jati ho
jis cheez ko hath lagati ho
main waheen peh baytha rehta hoon
us jaga ko choota rehta hoon
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho
kuch khuwab saja kar aankhoon main
palkon say moti chunta hoon
koi lums agar choo jaa a to
main pehroon us ko sochta hoon
main...aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho
jin logon main tum rehti ho
tum jin say batain karti ho
tum jin say huns k milti ho
jo tum ko achay lagtay hoon
wohi mujh ko achy lagtay hain
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho
jis bagh main subh ko jati ho
jis sabzay par tum chalti ho
jo shakh tumhain choo jati hay
jo khushboo...tum ko bhati hay
wo os tumharay chehray par
jo qatra qatra girti hai
wo titli chor k phoolon ko
jo tum say milnay aati hai
jo tum ko choonay aati hay
un sab k nazuk jazbon main
meray dil ki dharkan basti hai
miri rooh bhi shamil rehti hai
tum paas raho ya door raho
nazron main samai rehti ho
main tum ko takta rehta hoon
main tum ko sochta rehta hoon
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho
jis college main tum parhti ho
jis class main bhi tum jati ho
jis kursi peh tum baythti ho
jab class wo khali hoti hai
main ja k us main baythta hoon
us kursi ko main choota hoon
gadla sa ik tissue paper
jo tum nay class main choora tha
main pyar say us ko choota hoon
main us ko...purse main rakhta hoon
wo copy jis main lecture k tum
points likhti rehti ho
her moqay par her manzar main
main sath tumharay rehta hoon
main chashm-e-tasavvur main aksar
bus tum ko dekhta rehta hoon
bus tum ko sochta rehta hoon
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho
LARKI KA JAWAB
tum jab bhi ghar par aatay ho
aur sab say batain kartay ho
main aut say parday ki janan
bus tum ko dekhti rehti hoon
ik tum ko dekhnay ki khatir
main kitni pagal hoti hoon
main aisi mohabat karti hoon
tum kaisi mohabbat kartay ho
jab darwazay par dastak ho
ya ghanti phone ki bajti ho
main chor k sab kuch bhagti hoon
aur tum ko jo na paoon to
ji bhar k ronay lagti hoon
main aisi mohabbat karti hoon
tum kaisi mohabbat kartay ho
mehfil main kaheen bhi jana ho
kapron ka selection karna ho
rang bohat say samnay bikhray hoon
us rang pe dil aa jata hai
jo rang k tum ko bhata hai
main aisi mohabbat karti hoon
tum kaisi mohabbat kartay ho
rozana apnay college main
kisi aur ka lecture suntay hoay
ya break k khali ghantay main
sakhyoon say batain kartay hoay
meray dhiyan main tum aa jatay ho
main, main nahin rehti phir janan
main tum main gum ho jati hoon
bus khuwabon main kho jati hoon
un aankhon main kho jati hoon
main aisi mohabbat karti hoon
tum kaisi mohabbat kartay ho
jis chehray par bhi nigha paray
her chehra tum sa lagta hai
wo sham ho ya ke dhop samay
sab kitna bhala sa lagta hai
janay ye kaisa nasha hai
garmi ka tapta mosam bhi
jaray ka maheena lagta hai
main aisi mohabbat karti hoon
tum kaisi mohabbat kartay ho
tum jab bhi samnay aatay ho
main tum say sunn na chahti hoon
kash kabhi tum ye keh do
tum mujh say mohabbat kartay ho
tum mujh ko bohat hi chahtay ho
lekin janay tum kyun chup ho
yeh soch k dil ghabrata hai
aisa to nahin hai na jana
sirf meri nazar ka dhoka ho
tum nay mujh ko chaha hi na ho
koi aur hi dil main rehta ho
main tum say poochna chahti hoon
main tum say kehna chahti hoon
lekin kuch pooch nahin sakti
mana ke mohabbat hai phir bhi
lab apnay khol nahin sakti
main larki hoon kaisay keh doon
main kaisi mohabat karti hoon
main tum say ye kaisay pochoon
tum kaisi mohabbat kartay ho
chup chap see main...ho jati hoon
phir dil main apnay kehti hoon
main aisi mohabbat karti hoon
tum kaisi mohabbat kartay ho....
Libaas tan se utaar dena
Libaas tan se utaar dena,
Kisi ko banhon k haar dena,
Phr us k jazbon ko maar dena,
Agar muhabbat yahi hai jana,
To muaf karna mujhe nahi hai.
Gunah karne ka soch lena,
Hseen pariyaan daboch lena,
phir us ki aankhain hi noch lena,
kisi ko lafzon k jaal dena,
kisi ko jazbon ki dhaal dena,
phr uski izzat uchaal dena,
Agar muhabbat yahi hai jana,
to muaf karna mujhe nahi hai.
andhair nagri main chaltay jana,
haseen kaliyan masaltay jana,
or apni fitrat pe muskurana,
saja raha hai har ik deewana,
khayal-o-husn-o-jamal jana,
khayal kya hai hawas ka taana
Agar muhabbat yahi hai jana,
to muaaf karna mujhe nahi hai...
kitne khabon ke mahal maine banaey lekin
kitne khabon ke mahal maine banaey lekin
jab khuli ankh to koi bhi salamat na mila
aaj phir aik naya qasr banane ke liye
maine armanon ke madfan pe bina rakhi hai
janta hun ke hamesha ki tarah yeh bhi mahal
khak hojaega,gir jaega,mit jaega
ek woh lamha-ey rahat ke talab hai jiski
mere daman-e talab main na kabhi aeyga
lekin is baar yeh socha hai ke is qasr ke sath
main khud bhi mehfil-e hasti se guzar jaunga
Khushal Se Tum Bhi Lagte Ho
Khushal Se Tum Bhi Lagte Ho, Yun Afsurda To Hum Bhi Nahi,
Pehchanne Wale Jante Hai, Khush Hum Bhi Nahi Khush Tum Bhi Nahi,
Tum Apni Khudi Ke Pehre Mein, Or Dam-E-Gharoor Mein Jakde Hue,
Hum Apne Za-Am Ke Narghay Mein, Haath Hamare Pakde Hue,
Ek Muddat Se Ghatan Pehchan, Tum Rabt-O-Guraiz Ke Dharon Mein,
Hum Apne Aap Se Uljhe Hue, Pachtave Ke Angaron Mein,
Mashor-E-Talatum Aaj Bhi Ho, Jo Tumne Kinare Dhund Liye,
Toofan Se Sambhle Hum Bhi Nahi, Kehne Ko Sahare Dhoond Liye,
Khamosh Se Tum Hum Mohar Ba-Lab, Jug Beet Gaye Tumse Baat Kiye,
Suno Khel Adhoora Chhodte Nahi, Bina Chaal Chale Bina Maat Kiye,
Jo Bhagte Bhagte Thak Jayein, Wo Saaye Ruk Bhi Sakte Hai,
Chalo Todo Kasam Ikraar Karein, Hum Dono Jhuk Bhi Sakte Hai...
Kehne ko muhabbat hai leken
Kehne ko muhabbat hai leken
Ab aisi muhabbat kya karni jo neend chura le aankhon se,
Jo khwaab Dikha kar phoolon k Taabeer main kaante de jayen,
Jo Gham ki kaali raaton se har aas ka jugnoo le jaye,
Jo khwaab sajaati aankhon ko aansoo hi aansoo de jaye,
Jo mushkil karde jeene ko, jo marne ko aasan karay,
Wo Dil jo pyaar ka mandar ho wo yaadon ko mehmaan karay,
AB AISI MUHABBAT KYA KARNI,
Jo umar ki naqdi le jaye or phr bhi jholi khaali ho,
Wo soorat dil ka rog bane jo soorat dekhi baali ho,
Jo Qais bana de insaan ko, jo Raanjha or Farhaad kare,
Ab aisi muhabbat kya karni jo khushiyon ko barbaad kare,
Dekho to muhabbat k baray har shakhs yahi kuch kehta hai,
Socho to muhabbat k andar ik dard hamesha rehta hai,
Phir bhi jo cheez muhabbat hai kab in baaton se darti hai,
Kab in k baandhe rukhti hai,
Jis dil main is ko basna ho ye chup k se bas jaati hai,
IK BAAR MUHABBAT HO JAYE,
Phr chahay jeena mushkil ho ya jholi khaali reh jaye,
Ye aankhe aansoo ban jaye, ya Raanjha or farhaad kare,
Phir is ki hukumat hoti hai abaad karay barbaad kare,
Ik baar muhabbat ho jaye
kab in baaton se darti hai kab in k baandhe rukti hai,
Jo cheez Muhabbat hai AAMIR jab honi Ho ho jaati hai.....
Itni muddat baad milay ho
Itni muddat baad milay ho!
Kin sochon mien gum phirtay ho?
Itnay khaif kion rahtay ho?
Her aahat say darr jatay ho
Taiz hawaa nay mujh say poocha
Rait per kia likhtay rahtay ho?
Kaash koi hum say bhi poochay
Raat gaye tak kion jagay ho?
Mien darya say bhi darta hon
Tum darya say bhi gahray ho
Kaun si baat hai tum mien aisi
Itnay achay kion lagtay ho?
Peechay murr kar kion dekha tha
Patthar ban kar kia taktay ho
Jao jeet ka jashan manao
Mien jhoota hon tum sachay ho
Apnay shahar kay saray logon say
Meri khatir kion uljhay ho
Kahnay ko rahtay ho dil mien
Phir bhi kitnay duur kharay ho
Raat humien kuch yaad nahi tha
Raat buhut hee yaad aye ho
Hum say na poocho hijar kay qissay
Apni kaho abb tum kaisay ho
Faraz tum badnaam buhut ho
Jaisay ho phir bhi achay ho…
guzartay lamho mujhay batao
guzartay lamho mujhay batao zindagi ka usool kia hay ?
tamam haathon main aainay hain tau kon kis say chupa hua hay ?
agar sada ka wujood kaano say munsalik hay
tau kon khushboo main bolta hay?
agar samander ki hud hai saahil
tau kon aankhon main bolta hay?
tamam cheezain agar yehi hain
tau kon cheezon say mawra hay?
kissay khabar badaltee rut nay puranay patt-to say kia kaha hay?
yeh kon badal say ja kar poochay kay itnay mausam kahan raha hai ?
jo aaj dekha hai kal na ho ga
koi bhi lamha atal na ho ga
guzartay lamho mujhay batao
zindagi ka usool kia hay ?
Dhalte Suraj Ne Kaha Raat Ki Tareeki Se
Dhalte Suraj Ne Kaha Raat Ki Tareeki Se
Hoti Hai Qadr Roshni Ki Roshni Ke Baad,
Maine Mana Tu Zindagi Hai Main Sakoot Magar
Hoti Hai Jugnuon Ki Subah Roshni Ke Baad
Tere Aate Hi Theher Jaata Hai Duniya Ka Safar
Hoti Hai Zindagi Ki Subah Roshni Ke Baad
Tu Zindagi Hai Tera Kaam Safar Karna Hai,
Hoti Hai Pursakoon Fiza Roshni Ke Baad,
Tu Gar Kitna Bhi Kahe Tujhko Bhi Chahat Hai Meri,
Jalte Hai Munderon Pe Diye Roshni Ke Baad,
Mujhse Kya Talluq Jalte Hue Chiragon Ka,
Jalte Hai Gar Wo Bhi To Yahan Roshni Ke Baad,
Meri Chahat Mein To Shamil Hai Khuda Ki Chahat,
Milte Hai Mustafa Se Khuda Roshni Ke Baad,
Maine Mana Tere Mairaj Hai, Mairaj-E-Mustafa Lekin,
Laate Hai Wo Tashreef-E-Jahan Roshni Ke Baad,
Inhi Baaton Mein Achanak Ye Din Gharoob Hua,
Kaun Jaane Hai Yahan Kis Ki Kadar Roshni Ke Baad...
Ajab hai rastay mere, k chalna bhi nahi mumkin
Ajab hai rastay mere, k chalna bhi nahi mumkin,
zara thokar jo lag jaye, sambhlana bhi nahi mumkin,
tera chehra meri nazron main dhundla se na ho jaye,
k ab bheegi huwi palkon ko malna bhi nahi mumkin,
mile hai baad muddat k, bhla k sakht hai lehjay,
k jalna bhi nahi mumkin, pighalna bhi nahi mumkin,
taaluq toot janay se umeedain toot jati hai,
dilon main hasratin le kar, behalna bhi nahi mumkin,
bahut nakamiyan le kar huwa hun khaak ka qaidi,
chalo ab aaj se ghar se nikalna bhi nahi mumkin,
usay itna na socha kar teri aadat na parr jaye,
phr aisi aadatain MOHSIN badalna b nahi mumkin....
Ajab haalat thay mere, Ajab din raa t thay mere
Ajab haalat thay mere, Ajab din raa t thay mere,
Magar main mutma'en tha is liye, Tum sath thay mere,
Mere zar k talabgaaron ki nazrain aisi ugti thi,
K laakhon ungliyan thi or hazaron haath thay mere,
Main ik pathar ka gard aalood Putla un k mandir main,
Na dil tha mere seene main na kuch jazbaat thay mere,
Kisi se or kya taaeed ki umeed main rakhta,
Wohi khamosh thay jo mehram-e-haalaat thay mere,
Main jin shollon main jalta tha saray tm hi nahi samjhay,
Mera dil mukhtalif tha ,mukhtalif sadmaat thay mere,
Mujhe mujrim bana kar rakh diya jhoote gawahon ne,
Sabhi radd hogayin jitntne bhi ilzamaat thay mere,
Tassawur ban gaya tasweer aakhir ik din saajid,
Isi ka khof tha mujh ko, Yahi khadshaat thay mere......
Aa kar hamari qabar per tu ne jo muskura diya
Aa kar hamari qabar per tu ne jo muskura diya,
Bijli chamak k gir parri sara kafan jala diya,
Mujhe moat di k hayaat di ye nahi sawaal k kya diya,
Teri ik nigaah-e-naaz ne koi faisla to suna diya,
Pehle to pees pees kar surmaa mera bana diya,
Aaye ho haal poochne jab khaak main mila diya,
Chain se so raha tha main urrhay kafan mazaar main,
Yahan bhi sataane agaye kis ne pata bata diya,
Jhonprre main faqeer k is k siwa rakha hai kya?
Farsh-e-Nazar bicha diya, Takyaa-e-Dil laga diya,
Mera tumhara faisla hoga khuda k samne,
Tum ne jo Taigh keench li, main ne bhi sar jhuka liya,
Jao sidhaaro meri jaan tum per Khudaa ki ho amaan,
Bichrre huway milain gay phir qismat ne agar mila diya,
Tuesday, 17 January 2012
Aye Roop Nagar Ki Shehzaadi
Aye Roop Nagar Ki Shehzaadi,
Thodi Si Inayat Ho Jaye,
Ek Roz Agar Tum Chupke Se,
Meri Aankhon Ko Sairaab Karo,
Bechain Mera Dil Rehta Hai,
Kuch Aur Ise Betaab Karo,
Is Talkh Haqeeqat Sehra Ko,
Ek Meetha Sundar Khwab Karo,
Ek Roz Meherbaan Ho Jao,
Mere Dilke Nigehbaan Ho Jao,
Is Tapti Dhoop Ki Sakhti Mein,
Ek Shaam Ki Chhanv Mil Jaye,
Murjha Se Gaye Hai Din Mere,
Ek Shaam To Meri Khil Jaye,
Aur Shayad Mere Honthon Se,
Har Zakhm Tera Bhi Sil Jaye,
Hum Qais Nahi Farhad Nahi,
Par Phir Bhi Kahin Aabad Nahi,
Shayad Ye Karishma Ho Jaye,
Tumhe Humse Mohabbat Ho Jaye,
Aye Roop Nagar Ki Shehzadi,
Thodi Si Inayat Ho Jaye...!!!!
Subscribe to:
Posts (Atom)