Dabi dabi si wo muskurahat labon pe apne saja saja k
Wo narm lahje main baat karna ada se nazrain jhuka k
Wo aankh teri shararati si wo zulf mathay pe nachti si
Nazar hatay na aik pal bhi main thak gaya hoon hata hata k
Wo tera hathon ki unglion ko mila k zulfon main kho sa jana
Haya ko chehre pe phir sajana phool sa chahra khila khila k
Wo hath hooron k ghar hoon jaise wo paon pariyon k par hoon jaise
Nahi hai teri misaal jaana main thak gaya hoon bata bata k….!!
(¯`•.•´¯) (¯`•.•´¯)
*`•.¸(¯`•.•´¯)¸.•´ ♥
◙♥ º ♥ `•.¸.•´ ♥ º ◙.¸¸.•´¯`♥♥ EaGlE's~*~EyE ◙.¸¸.•´¯`♥♥
No comments:
Post a Comment