Monday, 27 February 2012

tere badan se jo chhoo kr idhar bhi ata hai


tere badan se jo chhoo kr idhar bhi ata hai
misal e rang wo jhonka nazar bhi ata hai
tamam shab jahan jalta hai ik udaas diya
hawa ki raah me ik aisa ghar bhi ata hai
wo mujhko toot k chahay ga , chhor jaye ga
…mujhe khabar thi usse ye hunar bhi ata hai
ujaar bann me utarta hai ik jugnoo bhi
hawaa k sath koi hamsafar bhi ata hai
wafa ki kon c manzil pe usne chora tha
k wo to yad humain bhul kar bhi ata hai
jahan lahu k samandar ki hadd theherti hai
waheen jazeera lal o guhar bbhi ata hai
chalay jo zikar farishto ki parsaayi ka
to zer e behes maqaam e bashar b ata haii
abhi sinaan ko sambhalay rahain adoo mere
k in safon me kaheen mera sarrr b ata hai
kabhi kabhi mujhe milnay bulandiyo se koi
shuwaa e subh ki soorat utar b ataa hai
esi liye me kisi shab na so saka mohsin
wo maahtaab kabhi baaam per b ataa hai

uss ko ghilaaf-e-rooh mein rakha, sambhal ker


uss ko ghilaaf-e-rooh mein rakha, sambhal ker
MOHSIN wo zakhm bhi to kisi aashna ka tha…

suno tum ne kaha tha na!!


suno tum ne kaha tha na!!
mjhy jazb-e-muhbt say kabhi jo tum pukaro gi
main uss din lot aaon ga!!
to daikho na!!
kai lamhon
kai salon
kai sadiyon
se tera rasta takti
yeh meri muntzar ankhain
mere dil ki ye dharkan aur sansain
bus tumhara naam laiti hain
wohi ik wird karti hain
meri ankhon k sahil par
teri khwahish ki mojoan ne
bari halchal mchai hai
teri tasveer,sookhay phool aur tohfay!
teri chahat ki khushbu main
abhi takk sans laitay hain
woh sabb rastay k jin par tum hmaray sath chaltay thay
woh sabb rastay jahan teri hansi k phool khiltay thay
jahan pairhon ki shakhon par
hum apna naam likhtay thay
udasi say bharay manzar
tumharay lot kar anay ki umeedain dilatay hain
suno kuch bhi nahi badla
tumharay paaun ki awaz sun’nay ki
mere kamray ki bai tarteeb chezain muntazir hain
suno!!!
takmeel paati chahton ko yun adhoora to nahi choro
mujhay matt azmao tum
chalo abb lot aao tum!!!!

Monday, 13 February 2012

Apni ankhon K sabhi ashq Baha Kar Sona


Apni ankhon K sabhi ashq Baha Kar Sona,
Tum Meri Yaad Ka Her Deep Bujha Kar Sona,
Ek Sitara B Mery Khayal Ka Baqi na Rahy,
Chandni Shab K nishanat Mita Kr Sona,
Dar Lagta Hy k ye neend Kahin Cheen na Ly,
Tera Har Roz Mery Khawab Men aa Kr Sona,
Bad Men Log Gira Dain To Koi Baat nai,
Har Tarf Pyar Ki Deewar Utha Kr Sona,
Subha Hoty Hi Tery Shehr Se Jana Hy Mujhy,
Aaj Ki Raat Zara Mujh Ko Mana Ker Sona ..

Dabi dabi si wo muskurahat labon pe apne saja saja k

Dabi dabi si wo muskurahat labon pe apne saja saja k
Wo narm lahje main baat karna ada se nazrain jhuka k

Wo aankh teri shararati si wo zulf mathay pe nachti si
Nazar hatay na aik pal bhi main thak gaya hoon hata hata k

Wo tera hathon ki unglion ko mila k zulfon main kho sa jana
Haya ko chehre pe phir sajana phool sa chahra khila khila k

Wo hath hooron k ghar hoon jaise wo paon pariyon k par hoon jaise
Nahi hai teri misaal jaana main thak gaya hoon bata bata k….!!
(¯`•.•´¯) (¯`•.•´¯)
*`•.¸(¯`•.•´¯)¸.•´ ♥
◙♥ º ♥ `•.¸.•´ ♥ º ◙.¸¸.•´¯`♥♥ EaGlE's~*~EyE ◙.¸¸.•´¯`♥♥

SUNO LOGO


SUNO LOGO!

Meri Aankhen Kharedo gy?

Bohat Mjbor Halat mein Mujhe Nelam Karni Ha

Koi Mjhse Naqad le le

Men thore Daam le lunga

Jo De De Pehli Boli to usi K Naam kr dunga

Mujhe Bazar Wale Keh Rhy Hen Kam Aqal Taajir,

Suno Logo !

Nhi hon Mein koi Hirs Ka Khwaha'n,

Nafa Nuqsan Ki Shatranj nhi Main Khelne Aaya

Bata Paon Tumhen Kese K Kis tashveesh mien Hon Main

Suno Logo!

Bari Mehboob Hen Mujh ko Ye Meri Neem tar Aankhen,

Magr Ab Bechta hun K,

Mein ne ik Khwab dkha ta

Usy Apna Bnane ka
Usy Dil Mei Basane ka

Mujhe us Khwab Ka Tawaan Bharna Hai,

INHAIN NELAAM KARNA HAI.!.